KYA BUREE HAALAT HAI MEREE, KUCCH SAHARA NAZAR AATA NAHIN MUJHAI 30-4-24


30 April 2024 09:01

-KYA BUREE HALLAT HAI MEREE -NAN KOYEE BHAYEE HAI AUR NAN KOYEE BEHN BHEE -NAN HAI BEEVEE AUR NAN HAIN BACHAI BHEE -AKELA HOON MEIN, BAD NASEEM HAR PARKR SAI HEE -BAHUT SAI MANDIR JAA KAI DEKH LIYA HAIN MEIN NAIN -AUR BAHUT SAREE SANSTHA MAIN JAA KAR DEKHA HAI MEIN NAIN BHEE -SAB KEHTAI HAIN KHUSH RAHO, JEENA SEEKHO TUM -KUCHH KEHTAI HAIN YEH HAI NATIJA HAI TUMHARAI PICHHLAI KARMON KA BHEE -KARO AB ACHHAI KARAM AGLEE JUNEE KO SUDHARNAI KAI LIYAI TUM -SHAYAID VO SACH KEHTAI HAIN MAGAR KOYEE YEH NAHIN BATATA, YEH ZINDGEE MEIN AB JEEYON KAISAI -SOCH SOCH KAR MEIN CHAL DIYA HARDWAR KEE TARAF -GANGA KAI KINARAI DHANDAI PANEE MAIN NAHANAI KAI LIYAI AND DHARAMASALA MAIN DOOSRAI LOGON KAI SAATH ZINDGEE KATNAI KAI LIYAI BHEE -CHYAIN PHIR BHEE NAHIN AYA KISSI TARAH SAI HEE -ACHANAK MEREE NAZAR PAR GAYEE KUCCH BANDRON KEE TARAF -NACHATAI AUR KOODTAI HUAI JUNGLON MAIN AUR PAHARON MAIN BHEE -BAS PHIR MUJAI BHEE JOSH AYA -MEIN CHAL DIYA PAHARON KEE TARAF HEE -CHALTAI CHALTAI MUJHAI NAZAR AYA EK JHARNA BHEE -CHARON TARAF PAHAR THAI, AUR THANDEE THANDEE HAWA BHEE CHAL RAHEE THEE CHARON TARAF -ITNAI MAIN MEIN NAIN DEKHA KUCHH SHER VAHAN NAHATAI HUAI -AUR AYA ITNAI MAIN EK HAJOOM HATHIYON KA BHEE -VO BHEE JHARNAI MAIN KOOD PARAI -AUR LENAI LAGAI PANEE MAIN MAZA BHEE -KUCHH DER KAI BAAD KYA DEKHTA HOON MEIN -BAHUT SAI HIRAN AA GAYAI PANEE PEENAI KAI LIYAI -AUR CHARON TARAF DEKHTAI HUAI KAHIN KOYEE SHER NAN AA JAYAI KABHEE -THOREE HEE DER MAIN DEKHTA HOON MEIN KEH YEH SHER, HATHEE, HIRAN AUR BANDAR BHEE SAB GHAS KHATAI HUAI -MEIN NAIN BHEE SOCHA KAB TAK BHOOKA REH PAONGA MEIN -MEIN NAIN BHEE GHAS KHANA SHUROO KIYA SAB JANVARON KEE TARAH -BHOOK BHEE MITNAI LAGEE AUR SEHAT BHEE BANNAI LAGEE SAB JANVAROON KEE TARAH -HIMAT KEE, MEIN BHEE PANEE PEENAI KAI LIYAI, NAHANAI KAI LIYAI BHEE -AUR DEKHNAI KAI LIYAI KAISSAI YEH JANVAR REHTAI HAIN KHUSH SAB -NAHANAI KAI BAAD BAITH GAYA MEIN JHARNAI KAI KINARAI -SHER BHEE AYAI, BANDAR BHEE AYAI, SAANP AUR SAANPNIYAN BHEE AYEEN MAZAI LAITAI HUAI -NAN SIRF PANEE MAIN TUBKEE LAGANAI KAI LIYAI BULKAI TAIRNAI KAI LIYAI BHEE -KYA THA YEH NAZARA AUR KYA THA YEH SAKOON -SAB PHIKIR BHOOLNAI LAGAI AUR KHUSHIYAN AANEE HOYEEN BHARPOOR -BAS PHIR TO KYA THA, MEIN IN PAHARON AUR JANGLON MAIN REHNAI KA AADEE HO GAYA SAB JANVRON KEE TARAH -RAAT MAIN JAB SOTHA THA MEIN, SHER AA JATAI THAI MERAI PASS MEIN MEREE RAKHWALEE KARNAI AUR MUJHAI GEHREE NEEND MAIN SONAI KAI LIYAI -SHURU MAIN TO MEIN DARNAI LAGA SHERON KO DEKHA KAR HEE -SHER APNAIN MAIN MAST BAITHAI RAHAI MEREE TARAF DEKHTAI HUAI HEE -MEIN NAIN BHEE HAUSLA LIYA, GHBRAYA MEIN BHEE NAHIN -YEH KHYAL MAIN AATAI HUAI BHEE -JAB HUM DARTAIN HAIN EK DOOSRAI SAI, TO APNAI KO BACHANAI KAI LIYAI HAMLA KARTAI HAIN HUM ZAROOR -AUR AGAR BAITHAI AUR REHTAI HAIN KHAMOSHEE SAI HUM SABH -DAR BADAL JATA HAI PAYAR MAIN, AUR GUZARNAI LAGTAIN HAIN SAB DIN EK DOOSRAI KAI SAATH DOOSTON KEE TARAHA HEE -BAS ISS TARAH ZINDGEE BEETATEE GAYEE IN SAB JANGAL KAI DOSTON KAI SATH AUR INKAI SAHARAI BHEE -GHAM KA NAM O NISHAN RAHA NAN KAHEEN -LEKIN KYA KAHOON MEIN, EK DIN BAITHAI BAITHAI INSSAN KAI NATAI YEH KHYAL AYA MUJHAI -JIS DIN MEIN MAR GAYA TO KAUN AYAIGA MUJHAI DAFNANAIN, YA JALANAI KAI LIYAI BHEE -FIKIR PHIR KUCCH UBHARNAI LAGA -ITNAI MAIN KYA DEKHTA HOON MEIN -EK SHER MAR GAYA, SAB SHER EKATHAI HUAI, RONAI LAGAI SAB, -EK KHADA KHODA AUR DAFNA DIYA USS MARAI HUAI SHER KO USS KHADAI MAIN HEE -ACHHEE TARAH DEKH DIKHA KAR HEE AUR ZAMEEN KO POOREE TARAHA BARAB KAR KAI HEE TAKEH KISSI AUR JANVAR KO SHAK NAN HO KAHEEN ISS KABAR KO KHONDNAI KAI LIYAI AUR SHAYAID KHANAI KAI LIYAI BHEE -TO MERAI VICHAR BHEE TURANT BADAL GAYAI, THOREE BAHUT FIKIR JO AA BHEE RAHEE THEE, DOOR HOYEE VO YEH SAB ANSOOS BHARA NAZARA DEKH KAR HEE -FIKIR DOOR HUA, JUNGLE KAI DOSTON KA SAHARA NAZAR AYA -YEH SAB HAIN MERAI DOST, ROYAINGAI GAI YAI SAB MIL KAR MERAI MARNAIN PAR ZAROOR -KHODAIN GAI KABAR MERAI LIYAI YEH SAB MIL KAR BHEE -DAFNA DAINGAI MUJHAI ISS TARAH KEH KOYEE NAM O NISHAN NAN REHAI JAYAI KAHYEEN, AUR NAN KARAI KOYEE MUJHAI MERAI MARNAI KO YAAD BHEE -BAS PHIR KYA KAHOON MEIN, CHARON TARAF KHUSHIYAN THEEN AUR DOST BHEE THAI CHARON TARAF MERAI -NAN HUM BOL SAKTAI THAI AUR NAN SAMAJH SAKTAI THAI EK DOOSRAI KEE BOLEE BHEE -ISHAROON ISHAROON MAIN BEETATAI THAI ZINDGEE HUM SAB PAYAR HEE PAYAR MAIN BHARPOOR -in conclusion what peace and happiness one can enjoy in nature, one can never and will never find that in this world which is full of greed, jealousies, hatred, destruction etc. Do your best not to get worried, better to learn and manage to live in love and in togetherness, and if ever such a situation happens, which I wish not, then turn to jungles like saint to live with nature to enjoy its silence, calmness and melodious songs around. MESSAGE MARRIAGE GUIDANCE IS UNIQUE FOR REASONS:- 1. EXHAUSTIVE BIODATA FORM 2. MATCHES SENT ARE FULLY VETTED AS PER REQUIREMENTS. 3. WHEN APPROVED BY BOTH BOY AND GIRL, WHEN CONFIRMATION OF NOC IS RECEIVED, BIODATAS TO BOTH ARE GIVEN VICE VERSA 4. FREE OF COST, NEITHER FOR REGISTRATION NEITHER AGAINST NOCs NOR AFTERWARD 5. ON REQUEST, BOTH SPOUSES WITH THEIR FAMILIES ARE RECEIVED AT MGNC OFFICE WHEREIN MEETS ARE ARRANGED, DISCUSSIONS ARE HELD, DOUBTS, IF ANY,ARE CLEARED AND EXPLAINED EXHAUSTIVELY. 6. 10,000 BIODATAS ARE HELD IN STOCK OF ALMOST ALL COMMUNITIES. 7. WAS FOUNDED IN 2015, CARRIES 5 STARS IN GOOGLE AND FACEBOOK. 8. INTERESTED FOR COLLABORATION. CONTACTL9811943867 vasdevloond@gmail.com